Wednesday, June 25, 2008

Random Shayari...

Zindagi mein gham aur bhi hai mohabbat ke siwa...
Humain toh raas na ayi, na sahi, usko woh sab mile jiski usne tamanna ki hai.
Waqt na tha tera, na hi mera
Soch ke hasil toh humne kuch kabhi kiya nahi hai
Zindagi mein thokar kha kha kar sambhle hain
Doosro ko sambhalain yeh hi karna accha hoga
Tu aur tera gham, main aur mera gham saathi hain, humdard hain, aur humsafar bhi
Aa mil baant ke gham kuch halke kar lain
Chalna toh tujhe bhi hai mujhe bhi...