Saturday, July 18, 2009

Tum!!!

Tum aye ho meri zindagi mein rango ki bauchar bankey,
Tum se hi din shuru hota hai aur tum hi pe aakar khatam,
Tumhara naam lekar soti hun aur tumharey khayal lekar jaagti hun,
Tum hi tum ho har taraf, har jagah....

Tum ho toh main bhi hun tumhare bina main kuch bhi nahi
Tumse milkar zindagi muskurayi hai, phir se khilkhilayi hai,
Tum hi meri zindagi ka maqsad aur tum hi har iraada,
Tumne mujhe gehrayion se kheench key bahar nikala,
Tumne mujhe phir se jeena sikhaya, ik naya rasta dikhaya....

Tum hi ho chahat meri, tum hi merey dost ho
Tum ho meri zindagi aur tum hi ho meri har duaa,
Tumhare saath har safar teh karna hai
tumhare sang hi chalna hai, tumhare sang hi marna hai....

Zindagi ho Tum meri, har saans mein sirf tum ho basey
Aisa kab huya humain bhi nahi maloom!!!
Kab tum ek dost se mere sab kuch ban gaye!!!
Tum ho meri jaan, tum hi meri zindagi
Tum hi ho meri har khushi, tum hi meri har khwaish,
Tum hi ho meri justju, tum hi meri har azmayish,
Tum hi ho har raah ki manzil, tum hi meri manzil ki raah....

Tum hi ho rang, tum hi khusbu,
Tum hi ho har pal mere saath,
Tum hi mujh se durr bhi
Tum hi meri subah, tum hi meri sehar,
Tum hi ho har lamha, aur tum hi har pehar
Tum hi ho meri chahat
Tum hi khuda ki inaayat
Tum hi mera sukh, tum hi meri riwayat
Tum se hai har din, tum se hi har raat
Tum hi meri aankhon mein, tum hi mere jazbaat....

Tum bas tum aur sirf tum.........................

3 comments:

Rahul said...

Wow.. finally a post from you.. and that too a great one..

You exactly know how to weave the words correctly to form the real feelings.. ;)

Keep the creative you alive, and post up regularly.. :)

Ina Bansal said...

Amazing.....these are not just mere words....what u've penned down is pure emotions....awesum work girl....

Ashwani said...

Likha bhi to 18th July ko...wow.